Aaj dulhan ke laal jode me Use uski saheliyo ne sajaya hoga

Meri jaan ke gore haatho par Sakhiyo ne mehandi ko lagaya hoga

Bahut gehra chadega mehandi ka rang

Us mehandi me usne mera naam chupaya hoga

Rah rah kar ro padegi Jab jab usko khayal mera aaya hoga

Khud ko dekhegi jab aaine me To aks usko mera bhi nazar aaya hoga

Lag rahi hogi bala si sundar

Aaj dekh kar usko chaand bhi sharmaaya hoga

Aaj meri jaan ne Apne maa-baap ki izzat ko bachaya hoga

Usne beti hone ka dosto Aaj har farz nibhaya hoga

Majboor hogi wo sabse jyada

Sochta hoon kis tarah usne khud ko samjhaya hoga

Apne haatho se usne Hamare prem ke khato ko jalaya hoga

Khud ko majboot bana kar usne Apne dilse meri yaado ko mitaya hoga

Toot jaayegi tasveer meri Jab uski maa ne tasveer ko table se hataya hoga

Ho jaayenge laal mehandi wale haath

Jab un kaanch ke tukdo ko usne uthaya hoga

Bhooki hogi wo jaanta hoon main

Kuch na us pagli ne mere bagair khaya hoga

Kaise sambhala hoga khud ko Jab use fero ke liye bulaya hoga

Kaampta hoga jism uska jab Haule se pandit ne

haath uska kisi aur ko pakdaaya hoga

Main to majboor hoon pata hai use

Aaj khud ko bhi bebas sa usne paaya hoga

Ro ro kar bura haal ho jaayega uska

Jab waqt uski vidaayi ka aaya hoga

Bade pyar se meri jaan ko Maa-baap ne doli me bithaya hoga

Ro padegi aatma bhi

Dil bhi cheekha aur chillaya hoga

Aaj apne maa-baap ke liye

Usne gala apni khushiyo ka usne dabaya hoga

Doli me baith ek zinda laash ko

Char kandho par HAZaro ne uthayahoga.................!!

Make a Free Website with Yola.